Humari sabhyata gaon se sahrao tak faili hui hai, aaj jab hum apne aap ko dekhte hai to aisa lagta hai ki jaise hum kitne peeche reh gaye hai, gaon se log palayan karte huye sahro me aate ja rahe hai aur har din kuch naya karne ki chahat rehti hai, hamara samaj badlte ja raha hai, agar hum thoda peeche chale jaaye, jiase ki gaon ki taraf, rozi roti ke liye logo ke tarike badal gaye hai, khet khaliyaan khali rehne lage hai, aur logo ka mukhya kendra, vastra aur fashion ho gaya hai, aaj main ek gaon jiska naam vishara hai waha per training ke liye aaya hu, aur main hairaan hu iss gaon ko dekh ker, logo ki ek basic need fashion ho gai hai, khet khali hai aur yeha ka young group kheto me jana nahi chahata, gaon ki galiyon me opportunity bhar ke hai. yeha sarkaar ke andekhe rawaiye se logo ko apni rozi roti chalane ki dikate badhti ja rahi hai, magar logo ne apne aap ko change karte huye, kheti se vastra udyog ki taraf aate ja rahe hai. logo ke under itni jagrukta dekh kar achaa lagta hai, log fashion aur design se alag nahi hona chahate, they want a good cloth, their basic need is now fashion and color, humara tradition hi humari sabhyata hai, agar hum chahe to har gaon me ek culture basta hai jisko pramote karne ki jarurat hai, In trminology: fashion birth from village only, just like ajanta alora. hum aaj delhi, mumbai me baith ker purane jamane ke artwork ko use karte hai jaise iss vishra gao ki virasat hai, weaving and kumauni artwork, here the people work on thread and use the motife of Suryavansi. designs are very delicate and colors are truely Indians, In September, one festival is coming out, NANDA DEVI festival, lots of people came to see the colour and culture of Kumaun Region.
No comments:
Post a Comment